Popular Posts

Monday, February 28, 2011

"lamha"


kaisa tha vo lamha jo tere sang gujara tha,,,,,,,,

mann mein simat gaya vo lamha ek baar jo aaya tha.....

bhule se bhi na bhula jayega mujhse, ,
tere nazdeek hone ka jo wakt chaya tha,,

us ek lamhe mein tere paas hone ka jo ehsaas paya tha,,,,
aaj vo samaya hai gehrai tak mere jehan mein ,,,
ki usme hi maine apna jivan paaya tha,,,,,,

fikar na kar mere mann ,,
kam se kam tere sansaar me to yeh lamha hamesha shamil tha.................

Sunday, February 27, 2011


ek khyal...
aaj kahi khade-2 tumhera khyal aa gaya,kuch jayada hi nazdeek......... usse jo hamesha mere sath rehta hai, aur phir mann ne socha, ki kaise tum hamesha kehte ho ki khush raha karo,jara bhi pareshaan na hua karo,per kya tum yeh nahi jaante,ke tumhare bina kaisi khushi,aur yadi khushi hai bhi kahi to vo bhi tum bin adhuri si lagti hai,,,,aur mujhse to chahkar bhi vo khushi puri nahi ho paati.............

par kahi na kahi is baat ka pata hai mujhe ke tumhare kareeb to keval sapno mein hi aana likha hai mere naseeb mein......yeh bhi jaante ho tum ke tumhari khushi me hi meri khushi hai,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,