Kahi khushi ka mahool tha aur hansi ka saroor,
thi sabke chehre par naye utsaah ki umang,,,
kisi ke parivaar se judne ka naya ehsaas...
kisi gair ko apnaane ka ek alag hi janoon tha...
Uski jindgi mein puri tarah mil jaane ka vo behtareen sakoon....
Aisa hi raha meri ek dost ki shaadi mein uske yaha sab kuch..........
mujhe aisa laga maano bhagwaan ne uske jivan mein,
har tarah ke rango ko ek saath bhar diya ho....
Aisa laga jaise aneko khushiya uske daaman mein simatne ko betaab ho...
Jaise muskaan uske hontho se door jane ka naam hi na le rahi ho ...
Use khush dekh kar bahut khush thi mein per...
agle hi pal uska khyal aaya jis Dost ke ghar mujhe shyaam ko hi jaana tha ..
aur dil ek dam se rone laga,,,,,Aisa laga maano mere hontho se hansi kahi jana chahti ho.....
kuki ek dost ki shaadi ke ghar ke mahool se nikal kar mujhe apni us dost ke ghar jana tha jaha....
Kisi ko hamesha ke liye apni jindgi se khone vala,,,
aur kabhi na dil se jaane vala dukh tha.......
Maa shabd ko apne hontho se kabhi na lene ka sawal jo tha.......
Jiske hone ka ehsaas matr hi jivan ki bahut se takleef mita deta hai,,,
Us ehsaas ko vapus kabhi na paane ka gam tha.....
Jo hamari ek siski bhar se ,apni jaan tak dene ko aamda rehti thi,,,
Us devi roop maa ko Kabhi na dekh paane ka jo malaal tha...
In sab baaton se ,ek hi din mein kitne rang dikha diye,,,
jaha ek ghar mein sunhere rang bikhre the ,,
vahi dusre ghar sirf kaala ya phir safed rang tha us wakt ,,
ise dekh pana bhi mere liye to mushkil hi tha....
bas mann mein ek hi prarthna thi kanha se bas ki meri us dost ko,apni maa ko khone ke, is bhanayak dard se ubarne ka honsla de.........