Popular Posts

Tuesday, June 21, 2011


Shyad wakt ke sath chalkar dafan ho jaaye, sab chahte dil ki,
ya phir sisak uthe dil mein bhari tees kahi....

jab baarish ke mausam me bhi ,dil se uthta hai dhua kabhi,
aur kahi sardi ke mausam mein bhi, is sulagte dil ko thandak nahi....

maloom nahi pyaar hai yeh ya phir hai khudkhushi,
jisme din mein din ka shor aur raat mein andhere ki bhi aahat nahi......

nahi jaanti sahi kya hai,,,,
sath uske jal jaayu ya phir uske bina hi kahi........

Thursday, June 16, 2011



A man's errors are his portals of discovery.....

Wednesday, June 01, 2011



raasto per chalte -chalte kai baar aise rishte mil jaate hai,jinko hum nibhana to chahte hai per nibha nahi paate----aur kabhi kahi per aise rishte bandh jaate hai jo hamari takdeer se to jude hote hai per hum khud ko unse nahi jod paate ......
Aise haal mein insaan kya kare????
use to bas ek baat per aitbaar karke apni jindgi kaatni padti hai ya phir yeh kaho ki vo insaan jinda to rehta hai par us ghutan bhari jindgi ko jeena nahi chahta....
Jaha ek oor rishto ki aisi banavat hai,vahi koi na koi aisa hota hai ke kisi ke sang dil se rishta nibhata hai,kisi ke rishta na manne per bhi khud se ek vada karta hai us rishte ki majbooti ke liye aur phir har kasam har vada bhi apnata hai ........
kya vo insaan nahi jaanta?? ki is tarah nibhaye gaye rishto ka koi chor nahi hai ,,,par bina kisi darkaar ke vo aisa rishta nibhaye jaata hai,,,jo sirf ya to vo mannta hai ya uska dil ya phir sirf vo jisne us insaan ko racha hai.........................