Popular Posts

Wednesday, October 19, 2011

"Apradh"



kaise yeh pal hai, yeh kaise hai din ,
har kadi mein hai jinki ajeeb si uljhan. . . .

saral to hai jivan jise jee rahe hai hum,
phir kyu hai dil mein kuch sulagati hui tapan . . . .

aankho mein ashk hai per muskara rahe hai hum,
jaane kis apraadh mein simat rahe hai hum. . . .

wakt ke aanchal ne daanke hai jakhm saare,
verna kon jaane ,kaise dard seh rahe hai hum. . . .

kabhi lage hai jivan ka saar hai sukh dukh,
kabhi samjhe jivan rupi bhar seh rahe hai hum. . . .

kya dukh ki paribhasha hai,kabhi samjha de mujhe mere maalik,
yeh kaise udassi ki aadat hai jise har pal jee rahe hai hum. . . .

kaise syahi se likha hai,tumne mere jivan ka saar,
raaste saaf hai, per khud hi dagmaga rahe hai hum. . . .

jaante hai ek tu hai saath hamare hamesha ,
phir tu hi bata dil se kyu ghabra rahe hai hum. . . .

4 comments:

suhani said...

so pure n true poem

Sunil Soni said...

really nice poem with true thoughts

Sunil Soni said...

really nice poem with true thoughts

Yogesh Luthra said...

Superb