Popular Posts

Tuesday, December 13, 2011

''''''kaisa sa hai vo????'''''''''


Janta hai dil,,kasoorvaar hai vo....
phir bhi,, kyu??
khuda se khushi ki darkaar kare hai vo....

Jaanta hai ,,gehraai mein bahut udaasi hai chai,,
phir itna dard lekar ,,kyu?? phire hai vo....

Hontho per muskaan ,,aankho mein chamak to hai lekin,,
phir bhi jaane,, kaisi ghutan mein simat raha hai vo....

Bin eent pathar ke ,,aneko khwabo ke mehal banata hai,,
aur phir unke bhi na hone per rota bilakhta hai vo....

Jab bhi din dhalne per raat ka andhera chahta hai,,
phir kyu??
jo uska hona hi nhi chahta uske liye khud ko jalata hai vo....


Chahat hai use bhi kisi ke pyaar ka agar,
to sada sirf apna hi pyaar,, kyu?? lutata hai vo....

Na jaane kab khul kar muskarayega vo,,,
bin roye jeena seekh jayega vo....

Aisa suna hai maine,thokar khakar duniya ki,,"Sakt hota hai dil""
phir kyu ???
baar baar thokar milne per,,
Aaj bhi kyu ??? itna naram hai vo....

Monday, November 21, 2011

""""""""""Kuch Rang Jindgi Ke ''"""""""""


Kahi khushi ka mahool tha aur hansi ka saroor,
thi sabke chehre par naye utsaah ki umang,,,
kisi ke parivaar se judne ka naya ehsaas...
kisi gair ko apnaane ka ek alag hi janoon tha...
Uski jindgi mein puri tarah mil jaane ka vo behtareen sakoon....

Aisa hi raha meri ek dost ki shaadi mein uske yaha sab kuch..........

mujhe aisa laga maano bhagwaan ne uske jivan mein,
har tarah ke rango ko ek saath bhar diya ho....
Aisa laga jaise aneko khushiya uske daaman mein simatne ko betaab ho...
Jaise muskaan uske hontho se door jane ka naam hi na le rahi ho ...

Use khush dekh kar bahut khush thi mein per...
agle hi pal uska khyal aaya jis Dost ke ghar mujhe shyaam ko hi jaana tha ..
aur dil ek dam se rone laga,,,,,Aisa laga maano mere hontho se hansi kahi jana chahti ho.....


kuki ek dost ki shaadi ke ghar ke mahool se nikal kar mujhe apni us dost ke ghar jana tha jaha....

Kisi ko hamesha ke liye apni jindgi se khone vala,,,
aur kabhi na dil se jaane vala dukh tha.......
Maa shabd ko apne hontho se kabhi na lene ka sawal jo tha.......

Jiske hone ka ehsaas matr hi jivan ki bahut se takleef mita deta hai,,,
Us ehsaas ko vapus kabhi na paane ka gam tha.....

Jo hamari ek siski bhar se ,apni jaan tak dene ko aamda rehti thi,,,
Us devi roop maa ko Kabhi na dekh paane ka jo malaal tha...

In sab baaton se ,ek hi din mein kitne rang dikha diye,,,
jaha ek ghar mein sunhere rang bikhre the ,,
vahi dusre ghar sirf kaala ya phir safed rang tha us wakt ,,
ise dekh pana bhi mere liye to mushkil hi tha....
bas mann mein ek hi prarthna thi kanha se bas ki meri us dost ko,apni maa ko khone ke, is bhanayak dard se ubarne ka honsla de.........

Wednesday, October 19, 2011

"Apradh"



kaise yeh pal hai, yeh kaise hai din ,
har kadi mein hai jinki ajeeb si uljhan. . . .

saral to hai jivan jise jee rahe hai hum,
phir kyu hai dil mein kuch sulagati hui tapan . . . .

aankho mein ashk hai per muskara rahe hai hum,
jaane kis apraadh mein simat rahe hai hum. . . .

wakt ke aanchal ne daanke hai jakhm saare,
verna kon jaane ,kaise dard seh rahe hai hum. . . .

kabhi lage hai jivan ka saar hai sukh dukh,
kabhi samjhe jivan rupi bhar seh rahe hai hum. . . .

kya dukh ki paribhasha hai,kabhi samjha de mujhe mere maalik,
yeh kaise udassi ki aadat hai jise har pal jee rahe hai hum. . . .

kaise syahi se likha hai,tumne mere jivan ka saar,
raaste saaf hai, per khud hi dagmaga rahe hai hum. . . .

jaante hai ek tu hai saath hamare hamesha ,
phir tu hi bata dil se kyu ghabra rahe hai hum. . . .

Wednesday, August 31, 2011



Aisa koi Jindgi se wada to nhi tha .....tere bina jeene ka irada to nhi tha.......

Tuesday, June 21, 2011


Shyad wakt ke sath chalkar dafan ho jaaye, sab chahte dil ki,
ya phir sisak uthe dil mein bhari tees kahi....

jab baarish ke mausam me bhi ,dil se uthta hai dhua kabhi,
aur kahi sardi ke mausam mein bhi, is sulagte dil ko thandak nahi....

maloom nahi pyaar hai yeh ya phir hai khudkhushi,
jisme din mein din ka shor aur raat mein andhere ki bhi aahat nahi......

nahi jaanti sahi kya hai,,,,
sath uske jal jaayu ya phir uske bina hi kahi........

Thursday, June 16, 2011



A man's errors are his portals of discovery.....

Wednesday, June 01, 2011



raasto per chalte -chalte kai baar aise rishte mil jaate hai,jinko hum nibhana to chahte hai per nibha nahi paate----aur kabhi kahi per aise rishte bandh jaate hai jo hamari takdeer se to jude hote hai per hum khud ko unse nahi jod paate ......
Aise haal mein insaan kya kare????
use to bas ek baat per aitbaar karke apni jindgi kaatni padti hai ya phir yeh kaho ki vo insaan jinda to rehta hai par us ghutan bhari jindgi ko jeena nahi chahta....
Jaha ek oor rishto ki aisi banavat hai,vahi koi na koi aisa hota hai ke kisi ke sang dil se rishta nibhata hai,kisi ke rishta na manne per bhi khud se ek vada karta hai us rishte ki majbooti ke liye aur phir har kasam har vada bhi apnata hai ........
kya vo insaan nahi jaanta?? ki is tarah nibhaye gaye rishto ka koi chor nahi hai ,,,par bina kisi darkaar ke vo aisa rishta nibhaye jaata hai,,,jo sirf ya to vo mannta hai ya uska dil ya phir sirf vo jisne us insaan ko racha hai.........................

Tuesday, May 31, 2011


तुझ बिन नीरस मेरी दुनिया,यह काहे ना माने तू ,
कैसे जाताऊ ,किस भाषा में समझाऊ
के तुझ को ही अपना मानु मैं . . . . .

हर पहर तेरा ही जिक्र खुद से करूँ हूँ मैं ,
तू ही बता कैसे किसी से प्रीत निभाऊ मैं . . . . .

तू जो कहीं कहीं समाया है मेरी रूह में
जो मुझे मेरे इस जीवन के अस्तित्व का भान करावे हैं ,

तेरे
संग - संग सब राहों की मुश्किल आसान हुई हैं ,
फिर तुझे क्यों ना अपना बनाऊ मैं . . . . . .

दुनिया में देखो तो ,,,,, इंसानों में जैसे नफरत का वेग हैं
पर, एक तुझसे ही ,,,,,
मेरे
जीवन में छाऊ की शीतल सेज है . . . . . .

बस जरा सी गुजारिश है ,-मेरे-साहेब,
मुक्कमल हो मेरी इतनी सी इच्छा ,
जो
शायद हर पल तुझसे छुपाऊ मैं . . . . . . .

Monday, May 30, 2011


"The only good luck many great men ever had

was being born with the ability

and determination to overcome bad luck."

Wednesday, May 18, 2011

""Ek Sawal Dil Se""


koi kaise dil per aitbaar kar leta hai . . .. .
apni jindgi ka har lamha iske naam kar deta hai. . . .

kabhi kisi ko bawajh yeh hansaata hai to,
kabhi kisi ko bin karan rulata hai. . . .

kitna nadaan lagta hai kabhi to,,,
aur kabhi khud se hi anjaan nazar aata hai. . . .

aksar kuch betuki ki baaton per muskarata hai aur phir ,
achanak duniya ki bheed me khud dukhi hokar ,
aankhe bheegata hai. . . . . . . . .

pal pal tarasta hai ,jiska dedaar paane ko ,
phir kyu ? usse hi apna har haal chupata hai. . . . .

khud se hi kehta hai aneko kisse akela hone per yeh ,
aur phir mehfil me kisi ki yaad me akela rota hai. . . . . .

samjhta hai shyad khud ko phir.....
kyu yeh duniya se alag---apni dhun mein hi rehta hai. . . . . . .

Tuesday, May 17, 2011

"""Tumhi Ho"""


har khyal tumse hi hai,,,jindgi ka har sawal tumse hi hai.....
par tumhe main yeh kaise batau...meri har baat ka saar tumse hai................

subah ki dhundhli roshni me mere kareeb tum ho,,,din ke har pehar bhi nazdeek tum ho........
phir tumne kaise yeh soch liya.....meri rooh se nahi ,,,sirf kuch palo ki yaad se bandhe tum ho......

Tuesday, May 03, 2011


itne dino se kuch likha nahi...dil me ,,mann me ,,jehan mein to bahut aaya per baatein shyad aisi thi ki unhe kagaz pe utarna aisa tha maano dil ke kai tukde karke phir unme se nikli saiyhi se usme hue har dukh ko bayaan kar du....par pata nhi kya wajah thi ...jo honth har wakt gumsum rahe aur nazre har wakt khamosh rehna chaha rahi ho------ aise wakt ke daur me koi kaise apne mann ko khush rakhe...............................

Wednesday, March 16, 2011

""katra katra din beeta,haule se phir shyam aai""

kuch choti si shikayat hai wakt se,ya mann mein uthi ichchao ki gaflat ,,,,samajh mein nahi aata ke jindgi ke is mod per ye kaise ghumaav aa khade ho gaye....har pal muskaraane ki koshish mein,na jaane kitne shabdo ko ,aur na jaane kitne anjaane halaato ko dil hi dil mein sambhala hai ,,koi kabhi itna dur lagta hai,ki ek lambhi seedhi deewar ho beech nein jiske paar jaana ek khwab lagta hai,,,,kabhi halki jhuki palko mein itna kareeb ke apne iine mein bhi usi ka aks nazar aata hai,,,,,,dil ka har lamha use yaad kar muskaraane ki koshish karta hai,,par nhi jaanta kyu uske kareeb aane se darta hai,,,,,,

Wednesday, March 09, 2011


क्या है ये तेरा मुझे हर पल ख्याल आना ,
फिर उस ख्याल से दिल का सहम जाना .......

तुझसे हुई बातो का जीकर चलता है ,हर लम्हा मुझ ही में ,
तेरे होने का वजूद पनपता है , हमेशा ही जेहन में .......

यह मैंने सोचा है आज कल ,गर तू है ही खफा मुझसे,
तो क्यों न जी लू संग उनके ,
जो मेरे पास है तेरे साथ में बिताये वो बीते कुछ पल.......

गर माने तो यह बात ही काफी है प्यार के लिए ,
की कोई है ओर रहेगा हमेशा ही ,
जो हर पल सुलग रहा सिर्फ तेरी ख़ुशी के लिए........

Tuesday, March 08, 2011

""""ek khwab kuch tuta kuch juda sa""""


kuch sapne aise jinhe sada khuli aankho se dekhne ka jee karta hai,,,,,halki si jhuki hui palko me bhi vo sab sach hote prteet hote hai,,,,,,,,,,,,itne apne hai vo ....shyad kabhi na sakar hone vale sapne ki har ek khyal me unhi sab ke sang ki mojudgi jaruri lagti hai,,,,janti hu main ke insaan ko jivan me sab kuch nahi milta aur usko jiski sabse ahem jarurat mehsus hoti hai ,,use to vo chahkar bhi apne kareeb nahi kar pata,,koi to samjhaye ki un sabhi likhi hui baato ka aakhir matlab hi kya hai ,,jo sabhi , dil ki gehraai se jod kar likhi gai hai,,,jab hamesha hame unhe nazarandaaj kar ke hi rehna hai....is bhagwan ki banayi khubsurat duniya me ,insaan kyu kabhi kabhi itna akela pad jata hai,,sab kuch hone per bhi ,lut sa jata hai,,,,,,chere se khush hokar bhi ,"ek" dil apni khushi ke darkaar karta hai,,khule aakash mein vo bhi chahta hai kabhi 2 muskarana..per 1 baat to hai dil sharir ke bheetar hota hai,,shyad isiliye hi uski hazaaro khwahisho ko aksar daba diya jata hai,,,,,,aur use phir vaise hi rehna padta hai,,,jaha uski sunne vala sirf aur sirf khuda hi hota hai,,,,,,,,jo pehle sab cheen kar use akela kar deta hai ,,aur jab insaan ko us akakipen mein rehne ki aadat pad jaati hi ,,,aur jab dil ko rikttha ka drad bhaan ho jata hai,,,khuda usme phir se rang bharne ko kehta hai,,,,,jo ek aam insaan ke liye mushkil ho jata hai....aur vo yeh sab kisi se keh bhi nahi pata...................................................

"Muskaraye to muskaraane ke Karz Utarne honge"

" kisi ne sach hi likhi hai ye kuch line ,,har muskarahat ke aane se aisa lagta hai,,,ki jindgi me na jaane ab kon sa dukh ya dard aane wala hai.......phir ek dam khushi ke aane se ek anjana dar jivan ko gher leta hai ke kon se dukh nazdeek hai,yeh aai hui khushi kis chan bhar ke dukh ko sath lekar aayegi.....isiliye ab to khush hone se bhi dil seham jata aur gam me hi jeene ka maza aata hai...........kuki shyad uske sath ki aadat pad gai hai jo chodne per bhi nahi chuthi.....some time i feel's that ,,the life is a curse or blessing for me-----samajh mein nahi aata...kya hai yeh jindgi ,,,kabhi uljhi se kabhi seedhi saral,,,,

Monday, February 28, 2011

"lamha"


kaisa tha vo lamha jo tere sang gujara tha,,,,,,,,

mann mein simat gaya vo lamha ek baar jo aaya tha.....

bhule se bhi na bhula jayega mujhse, ,
tere nazdeek hone ka jo wakt chaya tha,,

us ek lamhe mein tere paas hone ka jo ehsaas paya tha,,,,
aaj vo samaya hai gehrai tak mere jehan mein ,,,
ki usme hi maine apna jivan paaya tha,,,,,,

fikar na kar mere mann ,,
kam se kam tere sansaar me to yeh lamha hamesha shamil tha.................

Sunday, February 27, 2011


ek khyal...
aaj kahi khade-2 tumhera khyal aa gaya,kuch jayada hi nazdeek......... usse jo hamesha mere sath rehta hai, aur phir mann ne socha, ki kaise tum hamesha kehte ho ki khush raha karo,jara bhi pareshaan na hua karo,per kya tum yeh nahi jaante,ke tumhare bina kaisi khushi,aur yadi khushi hai bhi kahi to vo bhi tum bin adhuri si lagti hai,,,,aur mujhse to chahkar bhi vo khushi puri nahi ho paati.............

par kahi na kahi is baat ka pata hai mujhe ke tumhare kareeb to keval sapno mein hi aana likha hai mere naseeb mein......yeh bhi jaante ho tum ke tumhari khushi me hi meri khushi hai,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Thursday, January 27, 2011

what life is ?????????????

jindgi kya hai....koi samajh nhi pata,,kabhi payar hai,,kabhi judai hai,
kbhi khushi ke pal,kabhi aankho mein rusvai hai,,,,
sabke hone per bhi kabhi akeli hai jahan mein,,kabhi khud mein hi uljhi si ek paheli.......
wakt ko samjhati si,ankahi aur

Monday, January 10, 2011

somewhere there is destruction in the walls of heart,
may be it wants to get rid of the pain inside it . . . .
no matters how much pain it bears in having distruction
or having pain during breakage of feelings. . . .
he really don't know,what type of justice he should do with himself,,either he would be happy by having those to whom he's only life or by loosing that particular who 's the only life of him. .
everybody knows,
the time has the power to change the circumstances ,
PAR
"जब वक्त बदलना ही है ....तो फिर यह आता क्यों है !!!!!!!!!!

kaise kaise rang

Aur bhi rang hai jahan mein pyaar ke rang ke siva..
kiska kare jikar , baat ho vafa ki jaha. .
rangeen mausam ki nasheeli yadoo ko jo soche koi ,
to kaise kare yakeen,k kahi ek shaksh uljha pada . . .
samjhe na dil,gar hai itni rusvai is bhari duniya mein ,
to sada dil ko apna hi dard kyu jayda laga. . .
to kya hua gar ishq ke paimaane per Na khra utar saka koi,
aise mein phir dil kyu apni hi har ek chahat lutata raha. . . . .

Wednesday, January 05, 2011

क्या है यह रास्तो पे मिलना ,फिर मिल कर बिछड़ना

बिछड़ना ही है तो फिर क्यों है , रास्ते एक से !!!!

जी कर खुदी में खुद के नहीं यह अरमान ,

आई जो होंठो पर शायद ,, असली नही यह मुस्कान

कही है खलिश सी ,कही भवंर है

कही है आशा,कही तपिश है !!!!!

मौसम सुस्त है , दिल के आँगन में कही

और कही मन में प्यार से उठे तूफान का शोर है !!!!!

कही सिमटे है भावनाओ के मेले,ओर कही लगा उनका ढेर है

कही है मन में विश्वास तेरे होने का , कही यह शब्द ही अंधेर है !!!!!

बहती है आशाओ की लहर दिल की गलियों में कही ,

ओर कही दिल की हर एक गली सुनी पड़ी !!!!!!