Popular Posts

Tuesday, April 20, 2010

WAQT

Nanhe-Nanhe lamho se milkar bana hai waqt yeh..
Ankhe moond kar socho to jaise thama ho yeh..


kaagaz ke panno pe uttaaro to bhi datte nahi,
Daude aise teji se ,kehne per bhi ruke nahi..


kabhi sath musKuraaye to kabhi pal bhar me
rula jaaye..
Dekar jakham itne gehre, pir khud hi un per
pyyar se marham lagaye..


kabhi khushgavaar mausam ban jaaye..
kabhi faili dhup mein seenkh bhar
chhao ki chat bhi na mil paaye..


Aise hi waqt ke lamho mein jindgi gujar jayegi..
khushi aur gam ke melo mein simat jayegi..


Aankhe bhi dhekengi raasta kisi ke aane ka..
Phir waqt ke daaman mein maut bhi lipat jayegi...!!!

By : vibha

1 comment:

Yogesh Luthra said...

The one word dat can describe is Wooooooooooooow!!!!
A poem with proper words & excellent imagination.
jah bhawnao ke phulo ko shabdo ki mala mein piroya hein vhi
ek sensational topic jo waqt ki imortance ke sath life ki ultimate sachai bhi yaad dilata hein