Popular Posts

Tuesday, March 08, 2011

""""ek khwab kuch tuta kuch juda sa""""


kuch sapne aise jinhe sada khuli aankho se dekhne ka jee karta hai,,,,,halki si jhuki hui palko me bhi vo sab sach hote prteet hote hai,,,,,,,,,,,,itne apne hai vo ....shyad kabhi na sakar hone vale sapne ki har ek khyal me unhi sab ke sang ki mojudgi jaruri lagti hai,,,,janti hu main ke insaan ko jivan me sab kuch nahi milta aur usko jiski sabse ahem jarurat mehsus hoti hai ,,use to vo chahkar bhi apne kareeb nahi kar pata,,koi to samjhaye ki un sabhi likhi hui baato ka aakhir matlab hi kya hai ,,jo sabhi , dil ki gehraai se jod kar likhi gai hai,,,jab hamesha hame unhe nazarandaaj kar ke hi rehna hai....is bhagwan ki banayi khubsurat duniya me ,insaan kyu kabhi kabhi itna akela pad jata hai,,sab kuch hone per bhi ,lut sa jata hai,,,,,,chere se khush hokar bhi ,"ek" dil apni khushi ke darkaar karta hai,,khule aakash mein vo bhi chahta hai kabhi 2 muskarana..per 1 baat to hai dil sharir ke bheetar hota hai,,shyad isiliye hi uski hazaaro khwahisho ko aksar daba diya jata hai,,,,,,aur use phir vaise hi rehna padta hai,,,jaha uski sunne vala sirf aur sirf khuda hi hota hai,,,,,,,,jo pehle sab cheen kar use akela kar deta hai ,,aur jab insaan ko us akakipen mein rehne ki aadat pad jaati hi ,,,aur jab dil ko rikttha ka drad bhaan ho jata hai,,,khuda usme phir se rang bharne ko kehta hai,,,,,jo ek aam insaan ke liye mushkil ho jata hai....aur vo yeh sab kisi se keh bhi nahi pata...................................................

2 comments:

Anonymous said...

u r very rite..
jab koi insaan kisi cheez par apna sab kuch daav par laga de
aur saari duniya se ladne ke baad uske haath vo lage jiska hona na hona barabar ho tb uski zindagi ek mazaak bankar reh jaati hai..

ye kudrat insaan ke saath ajeeb khel khelti hai..

vo ghar se kuch aacha karne ki soch lekar nikalta hai
lekin pata nahi kahaan se beech raste me meneka aa jaati

vo fir se apne aap ko vahin khada dekhta hai jahaan se vo shru hua tha...

is duniya me pyaar mohabbat sabse mahaan aur pavitra cheez hai...
lekin naseeb ke saamne ye pyaar bhi ghutne tek deta hai....

kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta ..
agar sab ko sab kuch milta
to shayad aaj taj mahal nahi bana hota...

anyways
meenal sharma ji
zindagi mein ek baat ka hamesha dhyaan rakhiyaga....

jab aapko kisi jhaadi mein sundar sundar fal nazar aaein aur unko khaane ka man kare tab us jhaadi me lage fal todne se pehle ye zaroor soch lena ki us jhaadi ke peeche koi bhediya bhi chipa ho skta hai..

Adarsh Chaudhary
chaudharyisland@yahoo.co.in

Unknown said...

theek kehte ho,,per bin vishvash kiye vo insaan us jhaadi per lage sunder fal ko kabhi nhi kha sakta,,is par avashyakta hogi to bas us insaan ki satarkta ki aur atamvishvash ki........